About Us

Popular Updates Of Last Week

Search This Website

रविवार, 26 नवंबर 2017

PAXIO KO KHANA KHILA KAR KARE GRAH SHANT


Paxiyon ko dana khilane se Grah shant hote hai aur sukh-vaibhav ki prapti hoti hai tatha nirogi kaya bhi milti hai


★★★★★★★★★★★★

Hamare Rishi-Muni, Sant-Mahatma sahi hi keh gaye hai ki pashu-paxiyo ko dana-pani khilane pilane se manusya ke jeevan me aane wali kahi pareshaniyo se chhutkara badi hi aasani se mil jata hai that esa karne se hum Prabhu ki bhakti ke krupa patra bhi ban jate hai aur hume ache swasthya ke sath hi punya-Labh bhi milta hai.

Agar aap dinbhar beechen rehte hai,
Aap ke kam thik samay pure nahi hote,
Daily Parivarik kalesh hota hai,
Swastya thik nahi rehta….etc

To daily hi apko Paxiyo ko dana khilane se aanand ki prapti hogi aur apke jeevan ke sare Dukh dur ho jayenge

Cheenti,Cheediya,Gilehriya,Kabootar,Tota,Kaua aur anya paxiyo ke jind aur Gay,Kutto ko daily dana-pani dene se apko mansik shanti prapt hogi.Pashi-Paxio ko dana pani dene se Graho ke kharab fal se chhutkara milta hai.

Kundali me agar “Rahu-Ketu” ki maaha dasha ho to Pashu-Paxio ko ‘Baajra’ daalna chahiye.

Pashu-Paxio ko ‘Jwaar’ khilane se “Shukra” grah ki pida dur hoti hai.


Pashu-Paxio ko ‘Gehu’ khilane se “Surya” ki peeda dur hoti hai.

Pashu-Paxio ko ‘chaval’ khilane se mansik pareshaniya dur hoti hai to mansik shanti milti hai.
Pashu-Paxio ko ‘Mung-dal’ khilane se “Budh” ki peeda dur hoti hai.

Pashu-Paxio ko ‘Chana-Dal’ khilane se “Guru” ki krupa prapt hoti hai.


Kaua aur Kutto ko ‘Gras’dene se “Rahu-Ketu” prassann hote hai.

Gilehriyo ko ‘Bajara, Biscuit, Roti’ khilane se jeevan me aanewali har ‘Kathinae’se easily mukti mil jati hai.
Chintio ke liye ‘100grm sugar ya besan ke laddu’ khilane se ‘swastya’ me labh milta hai aur apko mansik shanty ka aehsas bhi hoga.







Read More »

DAILY LIFE ME SAFALTA PANE KE GHARELU UPPAY

*!! Daily life me Safalata pane ke Gharelu upay !!*


Tantra ek esa science hai jisme ek nischit prakriya karne se nischit shakti ka nirman hota hai.Jo ek nischit karya ko poora karne karta hai,esi prakar se koi ek prakriya ka ek parinam nischit roop se prapat hota hi hai.Leki echhit result ke liye ek vishesh prakriya ko apnana padta hai.Es prakar sadhak apne jeevan me Divya-Shakti ki sahayata se apne lakshy ki aur gatisheel rehta hai

Lekh me Dinchrya se sambadhit  kuchh esi prakriya ko diya gaya hai jo ki sadhak daily ke jeevan me aanewale Kasto-rukavato ka nirakaran kar ke use ek uchhkoti ka jeevan pradan karta hai.Sadhak chahe to en prakriya me se koi bhi prakriya ya sabhi prakriya kar sakta hai.

Sadhak chahe to ese ek din se leke jitney din tak ya fir aajivan kar sakta hai.Anubhav me aaya hai ki ye prakriya se kahi logo ne labh uthaya hai,Aasha hai ki saral prakriya ko apna kar aap sadhak apne laksh ki aur tivra gati se aage badh sakega.

1.  Subah Braham-muhurat me 6 prakar se anulom-vilom pranayam ka abhyas sadhak sphtik mala se *''ॐ नमो नारायणाय''* mantra ki 1 mala kare to kuchh hi dino me amodh shanti ki prapti hoti hai.Esme sadhak ka much purab ki aur rahega.Sadhak kisi bhi kapde ka prayog kar sakta hai.Sadhak ko ye prayog Suryoday ke pehle hi karna hoga.

2.  Suryoday ke samay sadhak surya ko jal ka arghya dete samay *“ॐ घृणीं सूर्य आदित्य श्रीं”*mantra ka jaap kate hue arghya de to Financial problems ka samadhan hota hai.

3.  Tulsi tatha anya trees me subah ke samay pani dakte hue, *“विष्णु पत्नी नमो नमः''*ka jaap karte hue pani dala jaye to ghar ka yash tahta vaibhav bana rehta hai.
4.  Subah ke samay nasta ya kuchh khane se pehle agar kisi Gay(cow) ko *“ ॐ महागौरे आरोग्य देहि देहि नमः ”*ka jaap karte hue kuchh khila kar khaya jaye to ghar se rog dur rehte hai tatha arogya ki prapti hoti hai.

5.  Subah kam ke liye ghar ke bahar nikalne se pehle agar sadhak *“ दूं सर्व दुर्गति नाशय दुर्गाभ्यो नमः ”*21 bar uchharan kar ke jaye to koi vighna nahi aate.

6.  Sham ke samay ek Diya aur pani ka glass pooja sthal ya fir jaha pani rakha gaya hai uske aas-pas me *“ सर्व पितृभ्यो नमः प्रेत मोक्ष प्रदोम्भवः ”*ka man hi man 3 bar uchharan kar rakha jaye aur uske bad jab diya buj jaye to wo pani kisi tree me arpan kar diya jaye.Ye vidhi karne se Pitru ki krupa bani rehti hai tatha samsta pitru dosh se mukti milti hai.


7.  Rat ko sone se pehle *“अंजनीगर्भसम्भूताय कपिन्द्रोसचीवोत्तम् रामप्रिय नमस्तुभ्यं हनुमंत रक्ष सर्वदा”* 11 bar bol ke sone se swapna me bhay nahi rehta tatha such-purvak nind aati hai.
Read More »

मंगलवार, 14 नवंबर 2017

GARAM PANI PINE KE FAYDE


Garam Pani pine ke Fayde:



1. Agar aap skin problem se pareshan hai ya fir Glowing skin ke liye different different cosmetics use karke thak chuke hai to daily ek Glass garam pani pina start kar de. Apki Skin Problem free ho jayegi aor skin Glow bhi karne lagegi. 

2. Girls ko periods ke time par agar pet darad ho to aese me ek Glass gunguna pani pine se aaram milta hai.Actually us time hone wale pain me muscles me kheechav hota hai usko garam pani relax kar deta hai.

3. Garam pani pine se body me vishele tatva bahar ho jate hai.Khali pet aur rat ko khan eke bad pani pine se digest related problems khatam ho jati hai tatha constipation aur ges jesi problems pareshan nahi karti hai.  

4. Bhukh badhane me bhi ek glass garam pani bahut useful hai.Ek glass garam pani pine me ek nimbu ka ras aur kali mirch tatha namak milakar piye.Esse pet ka bharipan kuchh hi samay me dur ho jayega.

5. Khali pet garam pani pine se urine related rog dur ho jate hai.Dil ki jaloun kam ho jati hai. Ges se hone wale rog me garam pani amrit saman rahat deta hai.

6. Garam pani daily pine se Blood circulation bhi fast hota hai.Actually garam pani pine se body ka temperature badhta hai.Pasine ke madhyam se body ki sare Toxic element bahar ho jate hai.

7. Fever me pyas lagne par patient ko cold water nahi dena chahiye.Garam pani hi pina chahiye,Fever me garam pani jyada faydemand hota hai.

8. Agar apke cody ke kisi bhi part me ges ke karan pain ho raha hai to ek glass garam pani pine se Ges bahar ho jati hai.

9. Mostly pet ki bimari gande pani pine se hoti hai,agar aap pani ko garam kar fir thanda kar pioge to jo prt ki bimari hoti he wo apke aspas bhi nahi aayegi.

10. Garam pani pina bahut useful rehta hai.Esse body ko power milti hai.Esse cough aur shardi related rog jaldi hi dur ho jate hai.

11. Dama, Hiccup, Kharash jese rogo me aur oily food khan eke bad garam pani pina bahut labhdayak hota hai.

12. Morning me khali pet ek glass garam pani me ek nimbu milakar pine se body ki vitamin Cmilta hai.Garam pani aur nimbu ka combination body ke Immunity ko strong karta hai sath hi PH level bhi sahi bana rehta hai.

13. Daily ek glass garam pani pine se sir ke cells ke liye ek magic ka kam karta hai.Sir ke scalp ko hydrate karta hai jisse scalp ko dry hone ki problem khatam ho jati hai.

14. Weight loose karne me garam pani bahut hi madadgar hota hai.Khane ke ek ghante bad garam pani pine se Metabolymm badhta hai.Yadi garam pani me thoda nimbu v honey ke kuchh drop mila li jaye to body Slim ho jati hai.

15. Young dikhte rehne ki chahat rakhne wale logo ke liye garam pani ek Medicine ka kam karta hai.


Read More »

रविवार, 20 नवंबर 2016

SHANIDEV KO PRASAN KARNE KI LIYE 10 JYOTISH UPAY





Shanidev ko prassan karne ke liye 10 jyotish upay

Dharmik manyta ke anusaar shanivar ko kuchh vishesh upay karne se shanidev prassan hote heaur apne bhakto ka kalian karte hai.
Manyata ke anusar, manusya ko uske ache-bure kamo ka fal shanidev hi dete hai,esilye ache kam karne ke sath hi shanidev ko prasann bhi ralhna aavyashyak hai.Jis par shanidev prasann ho jaye,uske sare dukh dur ho jate hai.Ye upay kisi bhi shanivar ko kar sakte hai.

Shanidev ko prassan karne ke Upay

1. Shanivar ko en 10 nam se shanidev ki pooja

   कोणस्थ पिंगलो बभ्रु: कृष्णो रौद्रोन्तको यम :
   सौरि: शनैश्चरो मंद: पिप्पलादेन संस्तुत: 

अर्थात: 1. कोणस्थ, 2. पिंगल, 3. बभ्रु, 4. कृष्ण, 5. रौद्रान्तक, 6. यम, 7. सौरि, 8. शनैश्चर, 9. मंद व 10 पिप्पलाद। En 10 name se shanidev ka smaran karne se sabhi dosh dur hoate hai.

2. Shanivar ko papal ke ped ki pooja vidhi-vidhan se kare.Bhagvat ke anusar papal,bhagvan Vishnu ka hi roop hai.Shani dosho se se mukti ke liye Pipal ki Pooja aese kare.
Nahane ke baad safed kapde pehne.Pipal ki jad me kesar chandan,chaval,ful mila pavitra jal arpit kare.Til ke tel ka dipak jalaye,aur yaha likhe mantra ka jap kre.

मंत्र:

 आयु: प्रजां धनं धान्यं सौभाग्यं सर्वसम्पदम्।
देहि देव महावृक्ष त्वामहं शरणं गत: 
विश्वाय विश्वेश्वराय विश्वसम्भवाय विश्वपतये गोविन्दाय नमो नम :

Mantra jaap ke sath  papal ki parikrama kare.Dhup,Dipak jalakar aarti kare.Pipal ko chadhaya hua thoda sa jal ghar me la kar bhi chhidke.Esa karne se ghar ka vatavaran pavitra hota hai.

3. Shanivar ke din pehle yani shukravar ko sava-sava kilp kale chana alag-alag tin bartan me bhigo se.Aagle din naha kar,Saf vastra pehankar shanidev ka pujan kare aur chana kp sarso ke tel me chhok kar enka bhog shanodev ko chadaye aur apni samsya ke nivaran ke liye prathna kare.Eske bad pehla sava kilo chana bhese ko khila de.Dusra sava kilo chana kust rogio me bant de aur tisra sava kilo chana  machhali ko khila de.Es upay se shani dev ke prakop me kami hoti hai.

4. Shanivar ko shardhhapurvak shaniyanta ki pratistha kar ke pratidin es yantra ke samne beth kar sarso ke tel ka dipak jalaye.Neela ya kaala ful chadhaye,Esa karne se labh hoga sath hi yantra ke samne daily bethkar SHANISTROTRA  ya ऊं शं शनैश्चराय नम  mantra ka jaap bhi kare.

Laabh:
Karja, Mukadma, Haani, Per adi ki haddi tatha sabhi prakar ke rog se pareshan lpgo ke liye shani yantra ki pooja bahut hi faydemand hoti hai.Nokriwale logo ko unnati bhi shani dwara hi milti hai,ye Yantra bahut useful hai.

5.Shanivar ko subah jaldi uthakar snan aadi ke bad kush(ek prakar ki ghas) ke aasan par bethjaye.Samne shanidev ki murti ya tasveer sthapit kare tatha panchopchar se vidhivat poojan kare.Eske bad Rudraksh ki mala se niche likhe kisi ek manta ki kam se kam 5 mala jaap kare.tatha shanidev se such-sampati ke liye prathna kare.Yadi pratyek shanivar ko es mantra ka esi vishi se jap kareoge to jaldi hi labh milega.

वैदिक मंत्र

ऊं शं नोदेवीरभिष्टय आपो भवन्तु पीतये शं योरभिस्त्रवन्तु न :

लघु मंत्र

ऐं ह्रीं नम :. श्रीशनैश्चराय ऊं

6. Shanivar ko subah snan aadi karne ke bad shanidev ka vidhi-vidhan se poojan kare.Eske bad sarso ke tel se abhishek kare.Tel me kale til bhi dale.Eske bad shanidev ke 108 nam ka path kare.Es prakar shanidev ka poojan karne se bhakt ke sankat tal jate hai aur manokamna puri hone ke yog bante hai.

7. Shanivar ko kusth rogiyo ko bhojan karaye.Sath hi jaruri chijo ka daan kare jese Jute, Chappal, Chhata, Kapde, Palang.Daan ke sath kuchh dakshina bhi avasya de.

8. Shanivar ko Hanuman ji poojan kare.Chameli ke tel se sindoor ka chola chadhaye.Gulab ke ful arpit kare.Churme ka bhog lahgaye,kevde ka etra hanuman ke dono kandho par chhidke.Eske bad Hanuman ji se such-smridddhi ke liye prathna kare.Ye upay ap kisi anya shanivar ko bhi kar sakte hai.  

9. Kale ghode ki naal ya samudri naav ki keel se lohe ki anguthi banwaye.Use til ke tel me rakhe tatha us par 23000 shani mantra ka jaap kare.Shanivar ko usko dharan kare ye anguthi madhyama(shani ki umgali) me hi pehne.

10 Shanivar ko ek kanse ki katori me til ka tel bharkar usme apna face dekh kar DAKOT (shani ka dan lene wala) ko daan kare.Sath hi kale kapde me kale udad,sava kilo anaj,2 laddu,fal,kala koyla aur lohe ki kil rakh kar use bhi DAKOT ko de de.sath me kuchh daxina bhi de.

Read More »

नागकेसर से दूर करे कालसर्प योग और करे लक्ष्मी प्राप्ति तथा वशीकरण करे - NAGKESAR SE DUR KARE KALSARP YOG AUR DHAN PRAPTI TATHA VASHIKARAN KARE

! नागकेशर !



नागचम्पा की कलि को नागकेसर कहते है ! नागकेसर कडवी, कसेली, आमपाचक, किंचित गरम, रुखी, हलकी ,गरम, रुधिर रोग, वात, ह्रदय की पीड़ा, पसीना, दुर्गन्ध, विष, तृषा, कोढ़, कान्त रोग और मस्तक शूल का नाश करती है| भगवान शिव जी की पूजा में नागकेसर का उपयोग किया जाता है, तांत्रिक प्रयोगों और लक्ष्मी दायक प्रयोगों में भी नागकेसर का उपयोग किया जाता है !!

इसे नागेश्वर भी कहते हैं। देखने में यह कलि मिर्च के समान गोल और गेरू के समान रंगीन होती है। इसका फूल गुच्छेदार होता है। नागकेसर महादेव को बहुत प्रिय है। अभिमंत्रित नागकेसर वशीकरण के लिए बहुत उपयोगी होता है !

१. नागकेसर, चमेली का फल, तगर, कुमकुम, कूट को एक साथ मिलाकर्र रवि, पुष्य योग या गुरु पुष्य योग के समय खरल में कूल लें, फिर कपद्छान कर गाय का दूध मिलाकर माथे पर तिलक लगाने से अति तीव्र वशीकरण होता है !

२. धन-संपदा प्राप्ति के लिए पूर्णिमा के दिन शिव मंदिर में जाकर शिवलिंग को दूध, दही, शहद, मीठा, घी, गंगाजल से अभिषेक कर पञ्च विल्वपत्र के साथ नागकेसर के फूल शिवलिंग पर अर्पित करें। यह क्रिया अगली पूर्णिमा तक अविरोध करते रहे। अंतिम दिन अर्पित किये विल्वपत्र और पुष्प घर लाकर तिजोरी में रख दें। अप्रत्याशित रूप से धन की वृद्धि होगी !

३. चांदी के ढक्कन वाली छोटी डिब्बी में नागकेसर बंद कर अपने पास रखने से काल सर्प दोष का प्रभाव समाप्त हो जाता है !

४. कुंडली में चंद्रमा कमजोर होने पर नागकेसर से शिवजी की पूजा करनी चाहिए !


नागकेसर और वशीकरण रविपुष्प योग अथवा गुरूपुष्य योग या फिर अन्य किसी शुभ मुहूर्त में निम्नलिखित घटक (वस्तुएं) एकत्र करके खरल में कूट लें। फिर उसे कपडछन (कपडे में छानकर) करके घी में मिलाकर चन्दन जैसा लेप बनाएं यह लेप माथे पर लगाने से चेहरे पर कुछ ऐसी दिव्य आभा उत्पन्न हो जाती है, जो देखने वालो पर वशीकरण का प्रभाव डालती है। प्रयोज्य वस्तुएं इस प्रकार नागकेसर, चमेली के, कूट, तगर, कुमकुम और घी। स्मरण रहे कि प्रातः स्नान-पूजा से निवृत होकर शुद्ध स्थिति में ही यह प्रयोग प्रारम्भ करना चाहिए, फिर दैनिक-पूजा के समय यह तिलक लगाते रहें। चूँकि तिलक बनाने से बहुत थोडी सामग्री लगती है, अतः केवल आवश्यकता अनुसार प्रयोग करना चाहिए। यह भी हो सकता है कि पहले दिन चूर्ण तैयार करके, कपडछान करके, घी में तर कर लें और उसे किसी प्याली या डिब्बे में रख दें ताकि उस पर कसाव आदि का प्रभाव न पडे। काँच, स्टील, प्लास्टिक या चीनी-मिटटी के पात्र में प्रयुक्त करने से तिलक का लेप कई दिनो तक सुरिक्षत बना रहता है। लगातार कुछ दिनो तक नियमित रूप से इस तिलक को लगाते रहने से साधक में वशीकरण की शक्ति उत्पन्न हो जाती है। नागकेसर स्वस्तिक तंत्र भोजपत्र का चाकौर टुकडा लेकर उस पर लाल चन्दन से स्वस्तिक बनाकर सूखने पर उस पर गोंद की मदद से नागकेसर सजा दें। फिर काष्ठ की चौकी पर नया लाल वस्त्र बिछाकर वह स्वस्तिक उस पर रखें तथा धूप-दीप से पूजा कर गणपति मंत्र ऊँ गं गणपतये नमः का जाप करें। जाप करते समय कुछ देर तक स्वस्तिक को एकटक देखें। फिर नेत्र मूदंकर आतंरिक ध्यान करें। इस तरह अभ्यास करने से लक्ष्मी आराधक पर कृपा करती है। स्वंय गणेश भी वैभव प्रदाता है। अतः इस साधना से अराधक की दरिद्रता दूर होती है। इसी को त्राटक साधन भी कही जाता है। दीपावली पर नागकेशर पर विशेष प्रयोग दीपावली की रात्रि तांत्रिक प्रयोगो अनुष्ठानो के लिए सर्वविदित है। व्यक्ति की समयभाव वाली कठिनाई को देखकर छोटे-2 प्रयोगों को ही बल दिया गया है मेरे प्रयोग पदार्थ तंत्र पर आधारित है। प्रत्येक पदार्थ में कुछ न कुछ गुणधर्म निहीत है। ऐसे ही लक्ष्मी को रिझाने वाले गुणधर्म से परिपूर्ण इस प्रयोग को अपना कर देखें। इसमें ऊपर तक नागकेशर तथा शहद भरकर बंद करके दीपावली की रात्रि को अपने गल्ले या तिजोरी में रख दें। इसका फिर कुछ भी न करें, अगली दीपावली तक ऐसे ही रहने दें। चमत्कार स्वंय महसूस करें !

Read More »

MORPANKH SE KARE UPAY

 MORPANKH SE KARE UPAY
 Image result for IMAGES OF MORPANKH


  • 1.    Ghar ke south – east me morpankh lagane se barkat hoti hai tatha achanak      mushkeli nahi aati.
  • 2.    Kaal Sarp ke dosho ko bhi dur karne ki es morpankh me adabhut magic hota    hai.Kaalsarp wale person ko apne takiye ke khaul ke ander 7 mor ke pankh  Monday ratri kal me sale aur daily same takiye ka use kare aur bedroom ki west  wall par 11 morpankh lagaye jisse Kaalsarp dosh ke karan aayi badha ye dur  hoti hai.  
  • 3.    Bacha jiddi ho to ese chat ke pankhe ke pankho par laga de taki pankha    chalne par Mor ke Pankho ki hava bachhe ko lage aur Dheere Dheere jidd kam  ho jayegi.

  • 4.    Apni pocket ya diary me rakha ho to Raahu ka dosh bhi nahi pareshan karta  hai tatha ghar me Saap, Machhar, Bichhu jese jantu ka bhi bhay nahi rehta.

  • 5.    New Born baby ke sir ki taraf din-rat ek mor pankh chandi ke taviz me dal kar  rakhne se balak darta nahi hai tatha koi bhi Nazar Dosh se bhi bacha rehta hai.
  • 6.    Dushman adhik tang kar rahe hai to Mor ke pankh par Hanumanji ke mastak ke  sindoor se Mangalwar ya shaniwar ratri me uska name likh kar apne ghar ke  mandir me rat ko rakh de, Subah uthkar bina nahaye dhoye chalet pani me baha  de to shatru apni shatruta chhod kar mitrata kar lega.














Read More »

केसे हो सकती है चामुंडा मंत्र से महान सिद्धि की प्राप्ति - KESE HO SAKTI HAI CHAMUNDA MANTRA SE MAHAN SIDDHHI KI PRAPTI



एक अचूक एवं अत्यधिक शक्तिशाली महामंत्र,

"" ॐ ऐं ह्रीं क्लीं चामुण्डायै विच्चे. ॐ ग्लौ हुं क्लीं जूं सः, ज्वालय ज्वालय ज्वल ज्वल प्रज्वल प्रज्वल, ऐं ह्रीं क्लीं चामुण्डायै विच्चे ज्वल हं सं लं क्षं फट् स्वाहा' ""

इस सिद्ध मंत्र को आप सप्तशती का सार मंत्र कह सकते हैं. सप्तशती के अन्य मंत्रों यथा कवच, कीलक, अर्गला आदि मंत्रों की अपेक्षा अकेले इसी मन्त्र का नियमित 108 बार जाप करने से आपको महान सिद्धि प्राप्त हो जाती है.
Read More »