About Us

Search This Website

रविवार, 20 नवंबर 2016

SHANIDEV KO PRASAN KARNE KI LIYE 10 JYOTISH UPAY





Shanidev ko prassan karne ke liye 10 jyotish upay

Dharmik manyta ke anusaar shanivar ko kuchh vishesh upay karne se shanidev prassan hote heaur apne bhakto ka kalian karte hai.
Manyata ke anusar, manusya ko uske ache-bure kamo ka fal shanidev hi dete hai,esilye ache kam karne ke sath hi shanidev ko prasann bhi ralhna aavyashyak hai.Jis par shanidev prasann ho jaye,uske sare dukh dur ho jate hai.Ye upay kisi bhi shanivar ko kar sakte hai.

Shanidev ko prassan karne ke Upay

1. Shanivar ko en 10 nam se shanidev ki pooja

   कोणस्थ पिंगलो बभ्रु: कृष्णो रौद्रोन्तको यम :
   सौरि: शनैश्चरो मंद: पिप्पलादेन संस्तुत: 

अर्थात: 1. कोणस्थ, 2. पिंगल, 3. बभ्रु, 4. कृष्ण, 5. रौद्रान्तक, 6. यम, 7. सौरि, 8. शनैश्चर, 9. मंद व 10 पिप्पलाद। En 10 name se shanidev ka smaran karne se sabhi dosh dur hoate hai.

2. Shanivar ko papal ke ped ki pooja vidhi-vidhan se kare.Bhagvat ke anusar papal,bhagvan Vishnu ka hi roop hai.Shani dosho se se mukti ke liye Pipal ki Pooja aese kare.
Nahane ke baad safed kapde pehne.Pipal ki jad me kesar chandan,chaval,ful mila pavitra jal arpit kare.Til ke tel ka dipak jalaye,aur yaha likhe mantra ka jap kre.

मंत्र:

 आयु: प्रजां धनं धान्यं सौभाग्यं सर्वसम्पदम्।
देहि देव महावृक्ष त्वामहं शरणं गत: 
विश्वाय विश्वेश्वराय विश्वसम्भवाय विश्वपतये गोविन्दाय नमो नम :

Mantra jaap ke sath  papal ki parikrama kare.Dhup,Dipak jalakar aarti kare.Pipal ko chadhaya hua thoda sa jal ghar me la kar bhi chhidke.Esa karne se ghar ka vatavaran pavitra hota hai.

3. Shanivar ke din pehle yani shukravar ko sava-sava kilp kale chana alag-alag tin bartan me bhigo se.Aagle din naha kar,Saf vastra pehankar shanidev ka pujan kare aur chana kp sarso ke tel me chhok kar enka bhog shanodev ko chadaye aur apni samsya ke nivaran ke liye prathna kare.Eske bad pehla sava kilo chana bhese ko khila de.Dusra sava kilo chana kust rogio me bant de aur tisra sava kilo chana  machhali ko khila de.Es upay se shani dev ke prakop me kami hoti hai.

4. Shanivar ko shardhhapurvak shaniyanta ki pratistha kar ke pratidin es yantra ke samne beth kar sarso ke tel ka dipak jalaye.Neela ya kaala ful chadhaye,Esa karne se labh hoga sath hi yantra ke samne daily bethkar SHANISTROTRA  ya ऊं शं शनैश्चराय नम  mantra ka jaap bhi kare.

Laabh:
Karja, Mukadma, Haani, Per adi ki haddi tatha sabhi prakar ke rog se pareshan lpgo ke liye shani yantra ki pooja bahut hi faydemand hoti hai.Nokriwale logo ko unnati bhi shani dwara hi milti hai,ye Yantra bahut useful hai.

5.Shanivar ko subah jaldi uthakar snan aadi ke bad kush(ek prakar ki ghas) ke aasan par bethjaye.Samne shanidev ki murti ya tasveer sthapit kare tatha panchopchar se vidhivat poojan kare.Eske bad Rudraksh ki mala se niche likhe kisi ek manta ki kam se kam 5 mala jaap kare.tatha shanidev se such-sampati ke liye prathna kare.Yadi pratyek shanivar ko es mantra ka esi vishi se jap kareoge to jaldi hi labh milega.

वैदिक मंत्र

ऊं शं नोदेवीरभिष्टय आपो भवन्तु पीतये शं योरभिस्त्रवन्तु न :

लघु मंत्र

ऐं ह्रीं नम :. श्रीशनैश्चराय ऊं

6. Shanivar ko subah snan aadi karne ke bad shanidev ka vidhi-vidhan se poojan kare.Eske bad sarso ke tel se abhishek kare.Tel me kale til bhi dale.Eske bad shanidev ke 108 nam ka path kare.Es prakar shanidev ka poojan karne se bhakt ke sankat tal jate hai aur manokamna puri hone ke yog bante hai.

7. Shanivar ko kusth rogiyo ko bhojan karaye.Sath hi jaruri chijo ka daan kare jese Jute, Chappal, Chhata, Kapde, Palang.Daan ke sath kuchh dakshina bhi avasya de.

8. Shanivar ko Hanuman ji poojan kare.Chameli ke tel se sindoor ka chola chadhaye.Gulab ke ful arpit kare.Churme ka bhog lahgaye,kevde ka etra hanuman ke dono kandho par chhidke.Eske bad Hanuman ji se such-smridddhi ke liye prathna kare.Ye upay ap kisi anya shanivar ko bhi kar sakte hai.  

9. Kale ghode ki naal ya samudri naav ki keel se lohe ki anguthi banwaye.Use til ke tel me rakhe tatha us par 23000 shani mantra ka jaap kare.Shanivar ko usko dharan kare ye anguthi madhyama(shani ki umgali) me hi pehne.

10 Shanivar ko ek kanse ki katori me til ka tel bharkar usme apna face dekh kar DAKOT (shani ka dan lene wala) ko daan kare.Sath hi kale kapde me kale udad,sava kilo anaj,2 laddu,fal,kala koyla aur lohe ki kil rakh kar use bhi DAKOT ko de de.sath me kuchh daxina bhi de.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें